-->

Social Media All Apps Update News | | Whatsapp, Twitter, Messanger, Android O, Gmail Ke New Features

- May 22, 2017


Hello,,,Friends Aaj is post me Aapko sabi software Application ke updates ke bare me btane wala hu..!! Aaj kl social media ke sabhi apps kuch na kuch upates krte ja rahe hai..!! jinmese me aaj aapko kuch apps ke Updates ke bare me btane wala hu..!! 

🔷WHATSAPP NEW UPDATE/FEATURES

WHATSAPP NEW PIN FEATURE

Whatsapp ne sabhi android users ke liye "PIN TO TOP FEATURE" jari kar diya hai..!! pichle mhine iska beta version  available karaya gaya tha is feature ke jariye WhatsApp user Apne Favourite CHAT ko sabse upar rakh sakte hai..!!  isme user kinhi 3 chats ko sabse upar rakh sakte hai..!!

      isse user ko Apne Dosto ya parivar se baat karne ke liye baar baar chat list ko scroll karne ki jarurat nahi hogi contacts ko Kuch Samay ke liye daba kar Rakhna hoga Upar Diye Gaye pin icon ko tab karna hoga..!!

TEEN HI CONTACT KO KAR PAYEGE PIN

User Srif 3 hi chat ko pin to top kar sakte hain..!!  Agar user teen Se Jyada Logo ki chat upar lana chahte hain..!! to whatsapp par ek popup You can only pin up to 3 Chats likha jayega..!! jo chat upar hogi..! wo kisi bhi dusri chat par message aane se niche nhi aayegi..!! yha pin option ke saath delete, mute, option bhi diya jayega..!! 

WHATSAPP PAR AB EK SAATH BHEJO 30 IMAGES

Messaging app whatsapp ne nye bita version 2.17.6 Android me bda badlaaw kiya hai..!! ab aap whatsapp par 10 ki bajay 30 images bdi aasani se apne frnd ko bhej sakte ho..!! iske liye aapko gif option ka use karna hoga..!! 

WHATSAPP NEW "SIZE" FEATURE

WHATSAPP ne haal hi me ek esa feature launch kiya hai..!! jis se user ko chat se judi adhik jankariya ek saath ek hi jgh mil jayegi..!! is feature ka naam hai SIZE..!! 
          SIZE feature kisi bhi chat ke dauran user ko dikhega..!! jese hi User SiZe par Tab karega..!! use chat se judi jyada jankari yani chat ke dauran usne user ko kitne photos, video, text, GIF send kiye hai..!! in sabhi ki jankari bhi milegi..!! 

WHATSAPP PAR PADNE KI BAJAY, SUNO MESSAGE 

Whatsapp ne iPhone users ke liye ek nya version ( v2.17.2 ) launch kiya hai..!! is version me ek khash feature hai..!! jiski madad se iPhone ke "SIRI" Feature ko whatsapp chat se jod diya gya hai..!! ab attachment ke baad iphone user whatsapp par aaye message ko SIRI ki madad se sun sakte hai..!! iske liye bs unko siri se "Read my Whatsapp Message" kehna hai..!! 

Yeh bhi pade..!!

INSTAGRAM ALL HIDDEN FEATURES | | INSTAGRAM ME APNE PROFILE VIEWERS KO KESE DEKHTE HAI


🔷TWITTER NEW UPDATE FEATURE

TWITTER KI PRIVACY SETTINGS ME HUWA CHANGE

Twitter ne apni privacy setting ko update kiya hai..!! ab twitter aapke browsing ki aadate ke bare me advertise ke saath jankari share karega..!! Twitter par yeh change 18 june se lagu hoga..!! Lekin Aap in badlaawo ka option choise kar sakte hain.!! Aap Twitter app ya website ka istemaal karke privacy policy me cahnge kar sakte hain..!! Settings me aapko sabhi personalization or data settings ko disable karne ka option mil jayega..!!

🔷FACEBOOK MESSANGER NEW UPADTE 

➡NAYE/NEW RANG/COLOUR ME AAYA MESSANGER

Facebook apne messanger app me hmesa naye feature jodte rehta hai..!! ab messanger app ke navigation par dhayn dete huwe ise dubara se design kiya gya hai..!! is se sabhi features ko access karna pehle se jyada aasan ho jayega..!! ab kisi user or group chat ko tezi se access kar sakte hai..!! 
      Messanger me niche ki taraf Home Screen, Call, Camera Button or Game khelne ke liye Tab diye gye hain..!! update ke baad niche ki taraf ek new discover Tab bhi shamil ho jayega..!!

🔷GMAIL NEW SMART FEATURE

GMAIL PAR AAYA SMART REPLY FEATURE

Gmail me ab smart reply kiya ja sakega..!! iski ghosna Google IOS 2017 me kiya gya | Smart reply feature user ko Email ka jaldi answer dene ka sujhaw dega..!! yeh feature Gmail Android or IOS dono hi user ke liye jari kiya jayega..!!  sabse pehle ia feature ko dunia bahr me english or uske baad spenish  me jari kiya jayega..!! aane wale time me dusri language ke liye bhi support milega..!! Smart feature me user ko sujhaw dene ke liye machine learning ka option diya gaya hai..!! 

🔷ANDROID O NEW FEATURES

➡GOOGLE I/O 2017 me android ke bare me nai jankari samne aai hai..!! android O pichle Android nougat ka upgraded version hai..!! yha Android O bita version ka dusra preview jari kiya gya..!! Android O me picture to picture mode, notification dots, system optimization, google ke saath autofil or smart Text Selection jese feature milege..!! Android O battery badane me bhi help krega..!! isme wifi scan or background location par limit lagne se battery life bdegi or RAM space bhi bachega..!!!

To friends kesi lagi aapko yeh jankari..!! comnent kar ke jaroor bataye..!! 

Yeh bhi Pade..!! 


UTTARAKHAND BOARD KA 10TH OR 12TH RESULT KESE DEKHTE HAIN | | BEST WEBSITE TO CHECK ONLINE RESULT


RANSOMWARE ATTACK SE KESE BACHAYE APNE COMPUTER/LAPTOP KO



No comments