-->

Ransomware Attack Se Kese Bachaye Apne Computer/Laptop Ko

- May 21, 2017


Hello,,Friends Aaj is post me hm janege ki kese Hum RANSOMWARE ATTACK se Apne computers or Smart phones ko bachayege..!! 

       In dino Ransomware Attack se dunia presan hai..!! isne ek trh se pure world ke kai desho ko bandhak bana liya hai..!! is trh ke Ransomware attack pehle bhi ho chuke hai..!! or future me bhi esi aasanka se inkaar nhi kiya ja sakta!! ese me kuch jaroori upaay apnakar apne system ko Ransomware ke parbhaaw se save rakha ja sakta hai..!!

Ransomware ka attack dunia ke kai desho ke computers par huwa hai..!! is tarh ke attack ke baad computer me mojud Data lock (encrypt) ho jata hai..!! or use unlock karne ke liye aapko rupey dene honge..!! abhi tak ye khatra kewal computer par hi tha..!! lekin indai ki cyber security agency ne aagah kiya hai ki computer par nishana ke baad hackers ab smartphone par Ransomware attack kar sakte hai..!!

RANSOMWARE ATTACK SE KESE BACHE▶▶TOP-5 TIPS.   | | SECURITY HAI JAROORI

🔷TIPS-1

FILE RUN KARNE SE PEHLE...


Apne Computer par kisi bhi file ko run karne se pehle dekh le ki yeh popular file hai bhi ya nhi.., WannaCry jese virus bhi isi trh se failta hai..!! jub hum unauthorized source se kuch bhi Download kar file ko run kar dete hai..!! aamtour par esi file email attachment ke jariye hi aapko bheji jati hai..!! agr aapko koi email ya file kisi unknown source se send hoti h to..aap us par click na kare..is tarh ki file ko apne system se turant delaete kar dijiye..!! agar kbhi anjan app administrastion access ki permision mange to bilkul bhi na de..!! 

🔷TIPS:2

OUTDATED OS SE BACHE...

WannaCry Ransomware islye bhi apne maksad me kamyab raha, kyoki jyada tar users aaj bhi unupdated windows version ka use kar rhe hai..!! microsoft ne year 2014 me hi windows XP ko support dena band kar diya tha.!! is wjh se windows XP par chalne wale computer ese hmlo ke liye jyada risky hote hai..!! 
           Software piracy bhi ek badi problem hai..!! kyoki windows ki pairated copy ko hmesa security updated ki jaroorat hoti hai.! islye behad jaroori hai ki windows ke updated version ka use kare or future me pairated or or bina support wale windows se door hi rahe..!! agar aap windows ke updated version ka use nhi karna chahte hai.., to Linux aapke liye ek option ho sakta hai..!!



🔷TIPS-3

AUTOMATIC UPDATE KO RAKHE ON...

Windows OS ka use kar rahe hai to ransomware se bachne ke liye bhut jaroori hai ki apne system ko hmesa update rakhe..!! abhi jo WannaCry Ransomware longo ko sikar bana raha hai..!! unme we system bhi samil hai..!! jinme microsoft windows ka march wala software update nhi kiya tha..!! 
      Virus ne Windows XP, window 7, window 8 ko target kiya hai, jinhe ab microsoft ne update karna band kar diya hai..!! bawjood iske purane system ke liye microsoft ne ek patch jari kiya hai..!! taki in Ransomware se bacha ja sake..!! aap windows ka use kar rhe hai or automatic update nhi milra hai..!! to in tariko ko apna sakte hai..!!

WINDOES-7 ✔

>Sabse pehle START par click kare 
>control panel
>System & Security 
>windows update

Yha par aapko Left sids change setting ka option dikhai dega..use choose kar le.. yha install update automatically par jakar use OK kar de.!! 


➡ Windows-8

>control panel
>system & security
>Windows update Automatically
>OK

isi tarh aap windows 10 me pehle Start keys me setting icon par click kare..!! yha update & security me jakar Left side ki tarf windows update par click kare..! yha par aapko update ka option milega..!! 

🔷TIPS-4

THIRD PARTY FIREWALL & ANTIVIRUS...


Agar aapko lagta hai ki Windows Firewall or Windows Defender se wo security nhi mil pa rahi hai..!!! to behtar security ke liye ache firewall or antivirus par kharcha kar sakte hai..!! Antivirus software use karne se un virus se bach sakte hai..!! jo common time ke hote hai..!! Antivirus software scanning ke jariye virus ka pata laga kar use Block kar deta hai..!! saath hi aapko unsafe website, network scan, software update etc. ke bare me bhi alert hota hai..!! 

🔷TIPS-5

DATA KA REGULAR BACKUP KAR DE...


In sb security ke bawjood bhi aap roz apne data ko backup kar de..!! kyoki ek baar virus ne aapki files ko encrypt kar diya..!! to use fir se hasil karna mushkil hota hai..!! hmesa multiple backup lena chahiye..!! physical hard drives ke alawa cloud services par bhi apna data ka backup aap le sakte hai..!!

CONCLUSION

◼ kisi bhi anjan E-mail me attach link par click na kare !!

◼ Ese khatro se bachne ke liye apne system me window firewall ka use kare..!!

◼ Pirated software ki jgh Registerd Software ko Apne Computer ya Laptop par Download kar le ! 

◼ Online kuch bhi search kar rahe hai to auto download ko band kar de..!! 

◼ Ransomware attack hone par system ko turant band kar de..!! isko remove karne ke tips aap is website par pad skate hai..!!

www.bleepingcomputer.com/virus-removal/remove-wannacry-wana-decryptor-ransomware#who

Agr aap in sbi Tips ko follow karege to..!! Aap is Ransomware attack se apne system ko jaroor bacha payege..!! 

No comments