-->

Mobile Phone Me Internet Data Save karne Ke Best 10 Tarike | | how to save my mobile internet data in android phone

- May 11, 2017

Aaj me jo tricks aap logo ko batane ja rha hu wo aap sbhi kai liye bhut hi jyada important  hai..!!

           in tricks & Tips ka use kar ke aap apne smartphone ka internet data bacha sakte ho..!!  Aaj kl to har kisi kai paas smartphone hai...!! aur aap dekhte bhi honge ki in smartphones me kitni jldi aapka internet data khatm ho jata hai..!!

            aap mhine bhar ka internet data dalwate ho or wo internet data aapka 10-15 hi din chalta hai..!!  yeh problem to har kisi ko face karni padti hai aajkl..!! 

   Or upar se company ka had se jyada mhega  internet data paln bhi user ka dimag khata hai..!!! Unlimited data plan mehga hone ki wjh se jyadatar usre Limited data paln hi lete hai..!! magr fir yeh chinta satati rhti h ki data khatm na ho jaye..!!

     To friends aaj is post me aapko ese tips btane wala hu jiska use kar ke aap apna data pura mhina chala sakte ho..!! 

▪ jane kya hai wo tips jis se aapka data chlega pure mhine..!! 

➡ Use Chrome Data Compression

➡ check Account Sync Settings

➡Download Data Management Apps

➡ Turn off Background Data

➡ Apps Update on Wi-Fi

➡ Avoid online streaming

➡ Cache to Useful content

➡ Use Auto Download Option

➡ don’t click web Advertising

➡ Use Data Saving Browser and App

▪▪▪▪▪▪▪▪▪➡➡➡➡➡➡➡▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪▪➡➡➡➡


❇1. Use Chrome Data Compression

Smartphones par sbase jyada data web browsing par kharch hota hai..!! intrnet par bhut sari heavy sites hoti hai jo load hone me bhut jyada time lagati hai or hmara data kharch ho jata hai..!!
           hum chrome browser me Data compression tool ki madad se kam data kharch kar skte hai..!! is tool k active ho jane ke baad yeh hmare data tranfer ko khud manage karta hai..!!!

 ❓kese kare..❓

🔹chrome browser ko open kare.
🔹Left side me top pe teen dots wale menu par click kare.
🔹ab setting open kare.
🔹aapko yha data saver ka option dikhega use on kar lijiye..

ab aapka browser km data kharch karega..!! 


❇2. check Account Sync Settings

Real-time syncing or Push Notifications wese to bhut kaam ki hoti hai.magar iske liye smartphone laGatar  net kai jariye content check karta rhta hai.. isme bhut data kharch hota hai..!! aapko is setting ko adjust karna hoga..!!!


❇3. Download Data  Management Apps

Data Management Apps se bhi Data Save kar sakte hai यye Apps Data ko compress karte hai or 50% data  tak saving kar sakte hai..!! asp Opera Max ya CM Data Manager Apps use kar sakte hai..!!

❇4. Turn off Background Data

Hmare smartphone me bhut sare apps ese hai jo lagatar data use karte rhte hai..!! jis waqt hm apna phone use nhi karte us time bhi hme yeh notification bhejta hai..!! hme ese apps ke background data bnd akar dene chahiye jinka hmare liye koi use nhi hai..!!  is se hmara data 100% bachega..!!

❓kese kare..,❓

🔹First apne phone ki  Settings me jaye

🔹Data Usage Select kare

🔹jis Apps ko Data Use karne se rokna hai use Select kare.

🔹fir aspko ‘Restrict app background data’ lavel ko Off karna hai..!!


❇5. Apps Update on Wi-Fi

Apps ko kbhi SIM Card ke Network par Update nhi karna chahiye hmesa kisi Wi-fi Network par jakar apne Apps Update kre. esa karne k liye aapko  Google Play Store me jakar auto Update Future Off karna hoga..!! 

❓kese kare..❓

🔹Google Play Store par jaye

🔹Settings click kare

🔹Auto-update apps ka option dikhai dega

🔹yha Auto-update apps over Wi-Fi only Option Select kar de.!!

❇6. Avoid online streaming

Online Videos or Music Stream karne se bhut jyada Data kharcha hota hai ..Mobile Data par hme yeh ni krna chahiye..!! aapko apne phone par hi Videos ya Music Store kar sakte hai..fl

❇7. Cache to Useful content

kuch ese apps hote hai jo hmare data ko mobile par hi save kar dete hai..hme unka use karna chahiye.  jese youtube me offline videos ka option.!! hm video ko download karke offline mode me dekh sakte hai..!!


❓kese kare..❓

🔹Settings me jakar Accounts me jaye

🔹Sync kai liye unhi ko choose kare..! jinki Notifications jaroori hai..!!

isse Internet Data Save kar sakte hai. 


❇8. Use Auto Download Option

Whatsapp , Facebook App smartphone me sabse jyada use hote hai..isme Auto Download ka ek Option hota hai.jo sabse jyada Data istemaal karta hai..!! bina jaroort kai Images, Photos, Videos Download ho jate hai..in sabhi App Settings me jakar Auto Download Option Off  kar de.!! jaroort hone par aap download kar sakte hai..!!

❇9. don’t click web Advertising

bhut sari sites par ads banner, logo rhte hai.. unhe click na kar..!! isme bhut data loss hota hai.. inki loading timing bhut jyada rhti hai..!!

❇10. Use Data Saving Browser and App

Google Play Store me kai App hai jo Data Save karne me bhut help krte hai..aap inmese koi achii rate wali app download kar ke data ko save ka sakte hai...!!
 Opera Mini or UC Browser bhi Internet Data Save krne me bhut help karte hai..!!

To friends aapko yeh tips jaroor use karni hai..!! aapka data 100% save hoga..!! yeh meri gurantee hai..!! 

No comments