-->

Google Toontastic 3D App se Animated Video kese banate hai ( Full Detail )

- July 09, 2017




Google Toontastic 3D App Se Animated Video Kese Banate Hain -- Hello Friends is post me main aapko btane wala hu ki Google Toontastic 3D app kya hai or is ka use karke hum kese Animated ya Cartoon Video bana sakte hain..!!

Google Toontastic 3D app Google ka ek esa app hai jiska use karke hum bhut aasani se 3D animated videos apne android phones par bana sakte hain..!! Ye google ka ek bhut hi acha app hai..!! jin logo ko animated videos banane ka shok rehta hai..!! unke liye ye app bilkul perfect app hai..!! Aap Google Toontastic 3D app se apni manchahi story ko ek roop de sakte ho..!!


Aap longo ko to pta hi hoga ki Animated videos, Movies kitni jyada popular hai puri dunia me khastor par bachho ko jo esi movies or videos ke sabse bde fan hote hain..!! Animated videos feelings ko share karne ki ek bhut acha jariya hain..!! isme longo ka intersted bhi bana rehta hai or videos or movies se related message bhi sbhi tak phuch jata hain..!!

Animated videos ko banane ke liye kafi time or hard work lagta hain..yeh aap logo pta hi hoga..!! or iske saath esi animated videos,movies ko banane ke liye hme advance tools or software ki jaroorat hoti hain..!! magar google ne ise bhut aasan bana liya hai..!! ab aapko hard work or apna kimti time kharab karne ki koi jaroorat nhi pdegi..!! kyoki google ka "Google Toontastic 3D App se aasani se animated videos" bana sakte hain..!!


is post ko likhne ka mera maksad ye hai ki jo bhi log animated videos banane me interest rakhte hain unke liye ek esi information share karna jinse unki kafi had tak help ho sake or wo apne interest ko banaye rakhe..!! To dosto jante hain 'Google Toontastic 3D App se Animated Video kese banate hai ( Full Detail )'

Step To Use Google Toontastic 3D To Create Animated Videos

STEP:1 Agar abhi Tak aapne yeh app Download nhi kiya to sabse pehle ise Download kar le..!!

       "Download Google Toontastic 3D"

STEP:2  Ab is app ko open karne ke baad aapko (+) button ko dabana hai..!!

STEP:3  Ab iske baad aapko Top right me IDEA LAB par click karna hai..!!

STEP:4 Is app ke andar aapko left side par setting ka option par click karna hai..!! yha aapko bhut sare option milege..!! jese Choosing between simple character, Animation, fully featured Animation aap inmese kisi bhi ek option ko chhose kar lo..!!

STEP:5 Ab aapko (+) button par click karna hai, aapko yha bhut option dikhege jis se aap apni animated story bana sakte ho..!!

STEP:6 Ab is Step me aapko apni atory ke liye Template ko choose karna hai..!! Template se hi aapki Story ko Ek Animated look milega..!!


STEP:7 Ab aapko Apni story ke liye 3D Character ko choose karna hai..!! yeh Character hi aapki story ke asli kirdaar hai..!!  Agar aapki Drawing Skill Achi hai to aap apne 3D character khud draw kar sakte hain..!!

STEP:8 Ab itna hone ke baad aapko apne Character ko screen par show karna hai jha par aapko us character ko rakhna hai or Start button ko click karna hai..!! ese aapko baar baar karna hai..!! yeh app us character ki har ek movement ko record kar deta hain..!! aap background me apni aawaj se is character ko apni aawaj de sakte hai ya download kiye huye sound ka use v kar sakte hain..!! ese kar ke aap apni animated story ko complete kar sakte hain..!!

So guyz agar aapko animated videos banane ka shok hai to aap is Google Toontastic 3D App ki help le sakte ho..!! "Google Toontastic 3D App Animated Videos" banane ka best app hai. islye iska use ek baar jaroor kare..!!



No comments