-->

TOP 5 PLACES TO VISIT IN CHAMOLI ( UTTARAKHAND ) | | CHAMOLI KE BEST TOURIST DESTINATION PLACE

- May 14, 2017

TOP 5 PLACES TO VISIT IN CHAMOLI ( UTTARAKHAND ) | | CHAMOLI KE BEST TOURIST 
Hello,,friends Aapko pta hi hai Uttarakhand me kitne sare tourist place he Jha log chhutiyoon me ghumne ke liye aate hai...!! Uttarakhand ek esa tourist place hai Jha log India se hi nhi balki puri Dunia se ghumne ke liye aate hai...!! 



           Uttarakhand state ka ek district CHAMOLI bhi natural beauty ke liye pure world me famous hai...!! Yha Ghumne ke liye bhut se tourist place hai..! Jha aap apni chhutiyon me aa sakte hai..!! 
          Chamoli ke unhi Tourist destination places mese me aapke liye is post me Top-5 tourist places leke aaya hu..!! Jha jakar aap apni chhutiyoon ka maza le sakte hoo..!!

     me is post me leke aaya hu aapko Chomli ke best 5 tourist destination place..!! Jha aap summer me ghumne ja sakte ho Apni family ke saath..!! To jante hai kon se he wo Top 5 places..!!

CHAMOLI BEST TOP-5  TOURIST PLACES

▶ AULI
▶BADRINATH
▶VASHU-DHARA WATERFALL
▶VALLEY OF FLOWERS
▶RUDRANATH


👌Auli 

             
         Image credit euttaranchal.com

Auli ek esi jgh hai.. jha aap full adventure kar sakte ho..!! yeh chamoli se 65km ki doori par hai..!! or sea lavel se 3050m above hai..!!! yeh skiing or paragliding ke liye Uttarakhand ki best site hai...!!!
        Auli me asia ki Sabse  ucchi or lambi cable car hai..!!! jo josimath ko connect karti hai..!! Auli me winter season me bhut hi jyada snowfall hota hai..!! Jis se yha ki khoobsuruti me char chand lag jate hai..!! Us time par yha ka tourism bhi bad jata hai...!! Auli ghumne ka best time january to March hai..!! In dauran aapko yha snowfall bhi dekhne ko milega..!! 
       Aap upar Auli ki pic me dekh sakte ho..!! Kitna sundar nazara hai auli ka..!! Yeh pic February month ki hai..!! Jis time par wha snowfall hota hai .!! Aap ek bar auli ghumne jaroor jaye.. Yha aapko bhut maza aane wala hai..!!


👌Badrinath 


Image credit hemkunt.in

Badrinath,,chamoli se 98 km ki doori par hai..!! Badrinath temple hinduwo ka sabse dharmik pilgrimages mese ek hai..!! badrinath temple bhagwan Vishnu ke liye dedicated hai..!! Badrinath temple 9th centuary me aadi guru shri Shankarcharya ne bnwaya tha..!!!
          
         Badrinath temple ke bagl se Alaknanda  nadi behti hai..!! Badrinath temple aane ka sabse best time may to October hai .!! yha hazaro lakho log desh videsh se aate hai..!! bhagwan vishnu ke darshan ke liye..!! sardiyo ke mausam me badrinath temple ko band kar dete hai..!! kyoki yha bhut hi jyada barf girti hai...!! jis se wsha rehna bhut hi mushkil ho jata hai..!! 


👌Vasundhara Waterfalls 


Image credit tourmet.com

Vasudhara waterfall dilkash jgh hai..!!   Yahan Charo Taraf phado ki chotiya or glaciers ka nazara hai...!! yeh badrinath se 3km ki doori par mana gaun ( Last Village of India ) Se 5km ki doori par hai..!! vashudhara waterfall 440ft (122meter) ucha hai..!! aap yha Trip pe jaroor ja sakte hai..!! yeh bhut hi sant or manmohak jgh hai..!! 



👌Valley of Flowers 


Image credit trekkinginuttarakhand.com

Bhut hi sundar drishya..!! or wo tazi tazi thandi hawa..!!  vally of flower ( foolo ki ghati ko ) Baya karti hai...!! foolo ki ghati hmare west himalayas me hai..!! jo ki 87.5sq km ko ghere huwe hai..!!

     yha hme pure world ke sbhi parkar ke Fool dekhne ke milte hai...!! yha charo tarf jha jha nazar jati hai..!! hme bs flowers hi flowers dikhai dete hai..!! 
           Valley of Flowers me ghumne ka best time june to October hai..!! is time par yha sbhi parkar ke flowers khil jate hai..!! jo ki dekhne me bhut hi ache lagte hai..!! 
     valley of flower ko WORLD HERITAGE SITE declared kiya huwa hai..!! or 1982 me National park dwara promote kiya gya hai..!! 

👌Rudranath 



RUDRANATH TEMPLE..



Rudranath sea lavel se 2300 meters above hai..!!! yha phuchne ke liye hame 21km paidal chalna padta hai..!!! Rudranath phuchna ek challenging task hai..!! jise har koi pura nhi kar pata..!! 




               Rudranath me bhagwan shiv ka mandir hai..!! jo ki paanch kedaro mese ek kedar hai..!! or yeh mandir bhut hi jyada famous hai..!! 



   jisko dekhne ke liye yha pure world se bhi log aate hai...!!  yha saal bhar sbhi jgh hara-bhara huwa rhta hai..!!  phado ki chotiyo par barf dikhti hai or aapke face par thandi thandi hwa chhuu ke chli jati hai..!!  yeh chmoli ki sabse tough jgh mese ek hai..!!! islye agar aap yha jana chahte ho to aapko puri teyari ke saath jana hoga..!!!
 ▶▶▶▶▶▶▶▶▶▶▶▶▶▶▶▶▶▶

No comments